Future of Pakistan From Two Books of Prof. Ahmad Rafique Akhtar

انشا الله بہترین لوگ پاکستان پر آئیں گے

Below Extract from Book Naqoosh-e-Sidra-e-Jamal – 2008

Below Extract from Book Haqiqat-e-Muntazir

This entry was posted in Prof. Ahmad Rafique Akhtar. Bookmark the permalink.

11 Responses to Future of Pakistan From Two Books of Prof. Ahmad Rafique Akhtar

  1. Anonymous says:

    allah karay aisa ho per bhai hum qoum pakistani or as a muslim kia hum apni zimadari nibha rahay hain, behtay behtaiay to inqliab nahi ata her admi achay logon ka intizar karta hay per mazrat kay sath main yahan media person say kahoon ga, bhai aap log qiadat sambhal lo, or khas kar is mulk say arms (asla) khatm kar dain, yaqin karain yay siasi partian puray mulk kay logon ko aslay kay zor pay hostages kia howa hay. yay log kabhi bhi sahi qiadat nahi anay dain gay,main specially orya maqbool jan or haroon rasheed sahab say iltija karta hoon aap aslay kay kilaf jehad karain phir dekhain kay is mulk main achay log election jeet kar aian gay, or humay achi qiadat naseeb ho gi. warna hum unhi hath per hath rakh kar bethay rahay to shayad allah ka qanoon harqat may a jai ga, jesa begdad may tatari ayay thay, or phir allah nay apnay din ka kaam in say kai so saloon tak liya, allah her shay per qadir hay. allah humay sahi imandar or naik qiadat ata fermay. ameen.

  2. Anonymous says:

    bhai sahab, aap bhi bholay badshah ho yaarhamare marde-momin marde- haq ki nishani hai ya aslaha or firqa wariat. zaban, nasal, qabeelay, firqa or mazhab ki buniad par logon main nafrat hamari pakbaz fouj ke generals ne phailayi. sirf isliye ke fouj ka iqtidaar qaim rahe or awami leaders or awam ek dosre se larte rahain. recent operation ko hi lai lain. rangers sirf aise areas main operation kar rahi hai jahan ya to urdu bolne wale ya sindhi bolne waley rehte hain. main yeh nahi kehta ke urdu or sindhion main terrorist nahi honge, wo bhi is jurm main barabar ke shareek hain, lekin main yeh sochta hon ke aslaha ke garh suhrab goth, banaras, sultan abad, pehelnwan goth, gulshan meymaar etc main kion nahi horaha operation. wo isliye ke wahan fouj ke banaye hoye or paale hoye assets hain jin ko hamari estabilishement waqt parne par qatal-o-gharat gari ke liye use karti hai. paaka qila operation, saniha ali garh basti, etc jahan bedaraigh urdu speakings ka khoon bahaya gaya, aaj tak in jaali molvion or sufion ko taufeeq nahi hoi ke us qatal aaam ke investigation ka mutalba karain, wo isliye ke rafiq akhtar jese estabilshemtn ke pitho or army ke paltu kabhi bhi army ki marzi ke baghair ek lafz nahi nikalain ge.ek or baat , yeh sare do number darwaishon ko yeh darana waghaira or totay ki faalain nikalna PPP ki govt me hi kion yaad ata hain.jab tak in ka baap musharaf hukamraan tha yeh sare apne surakhon main bethey hoye they, jahan ek sindhi hukamran bana , in ko azaab yaad ane lag gaya.man kehta hon kuch nahi hoga, yeh sab lambi lambi is liye chori ja rahi hain ke jab kiyani ya nawaz ya imran hukumatr banaye to logon ko ye na mehsoos ho ke un ke sath koi lamba hath hogaya hai .Syed

  3. Anonymous says:

    2011 se hi safaai shuru hogi INSHALLAH

  4. Anonymous says:

    sab se pehle to rafiq akhtar jese 2 number sufion ki safai honi chaiye. wese 2011 ka end chal raha hai or zardari ka kakh bhi nahi bigra. so much of the predictions. hahhaa

  5. Anonymous says:

    mein rafiq sahib ko nahi janta .kia app bata sakte hain k aap ke saath unhon ne kia do numberi ki hai or ap ki kia guarantee hai ke aap do number nahi hain.humari quam ka yeh almia hai kay hum baghair jane bujhay sirf apni zati pasand ya napasand per her shaks ki character assasination shuroo ker dete hain aur yeh bohtan kehlata hai jis ka jawab roz-e-akhirat main dena pare ga.

  6. Anonymous says:

    or hamari qaum ka yeh almia bhi hai ke wo jane bhije baghair har kisi ki baat par yaqeen karlete hain or us ko pojna start kardete hain.aap ya koi or sab se pehle rafiq akhtar se yeh poche ke us ne jaane bojhe baghair kese tamam tableeghee jamat walon ko munafiq kion kaha, us ne jane bojhe baghair sab tablighee jamat walon ko kafiron ke barabar or bidati or pata nahi kia kia kaha. kia rafiq akhtar koi mufti hai ya us ka kaha hoa hurf-e-akhir hia ke woh jis ko chahe munafiq kehta phire?. meri rafiq akhtar se koi zati ranjish nahi hai , is jese professor hazaron pare hain pakistan main jo sirf apne aap ko haq par samajhte hain or baqi sab un ke nazdeek munafiq , bidati, bhatke hoye, kafiron ke agent waghaira hain. khud rafiq akhtar ko to itni tuafeeq nahi hoi ke apne aap ko darvaish kehlate hoye yehi karlete ke apne aap ka hulia Huzoor SAW se milta hoa karlete , lekin is ke bar aks, baqol haroon rasheed, is daur ka sab sa bara darvaish na sirf clean shave hai balke mard aurton ki makhlot gathering bhi karwata hai. professor sahab ke dars me kisi qism ki koi pabandi nahi hia.sachi baat yeh hai ke haroon rasheed ne apne columns main rafiq akhtar ko buhut barha charha kar paish kia hai , khud main bhi dhoka kha gaya hota agar main ne video main yeh nahi dekh lia hota jis main rafiq akhtar sahab Imran khan ke sawal ke jawab main tablighee jamat walon ko munafiqeen or pata nahi kia kia keh rahe hain. mujhe to rafiq akhtar bhi ek aam sa admi laga. mazey ki baat yeh hai ke rafiq akhtar ko molvi bhi nahi keh sakte kion ke un ke andar molvi wali koi bhi baat nahi hai, jahan tak quran ko parne or samajhne ki baat hai to mashallah pakistan main lakhon log arabi jante hain or quran ko samajhte bhi hain.

  7. Anonymous says:

    dear aap ko kis ne kaha ke main ya dosray log in predictions ki andhi taqleed ker rahay hain.yeh to aap ki apni perception hai warna aisi koi baat nahi hai jab waqt aye ga to pata chal jai ga is main itna serious honay ki kia baat hai.dosra agar prof. sb. ne tablighi jammat walon ke baray main kuch farmaya hai to ja ker un se is ki wajaha poochain.un kay paas is baat ki yaqeenan koi logic ho gi, dur baith kr apne aap rai qaim kr lena koi insaaf nahi hai.main phir wohi baat karun ga ke baghair tehqeeq kay dosron ki character assasination kerna buri baat hai.jb hum khud hi ghalat hain to dosron per blame kernne ka hamain koi haq nahi.is liay mere bhai prof. sb. se in ilzamat ki wajha to poocho ,agar wo ghalat huay to phir tum khul ker unke baray main jo marzi kehna.aur main waqai prof. sb. ko aur unke baray main kuch nahi janta.

  8. Syed says:

    ok let me intervene between you two.the person who is bashing professor rafiq akhtar on the basis of professor's saying against tableeghee jamat is may be right as it look like professor sahab didn't conclude any research what so ever regarding tableeghi jamat and their procedures. But again , professor is a free person and absolutely free to develop his opinion. The "Anonymous" who is against professor sahab must be a hard core tableghee thats why he is so angry.The second "Anonymous" wrote "baghair tehqeeq kay dosron ki character assasination kerna buri baat hai". Absolutely right, the first anonymous have no right to say bad things for professor sahan HOWEVER professor sahab did the same thing toward tableeghees. I would say leave all of them alone and if you don't like the person for his thoughts , no one is putting a gun on your head to follow him.

  9. I think Tablighi Jamat and es trah ki dosri tanzemain agar waqi drust samt me kam kr rahi hotin to ab tk kuch behtari zoror a chuki hoti but there is no big change at all in Pakistan.. So in jamato aur en k members ko bhi jazbati bayan bazi krne ki bjye khulay dil se apne greban me jhank kar daikhna chahye.. Jb k enk muqably me Prof Sb ki books ko agar parha jye to aur kuch nahi to bnday ki mind building and priority selection to darust ho hi jati hai jb k enk haan kya hai??? apna khandan barbad hai ghlazat me luthra hua aur logo ko sudharne me magan?? Ye to tableegh k bunayadi asool k hi khilaf hua na?? Phr kya sirf ibadat ka parchar hi pora islam hai?? baqi sab muasharti buraiyan?? Haqooq Ul Ibaad ko barbad kar k ALLAH se taluq abad ho skta hai kya?? Kya enhi jamato ko finance krne walay baray baray businessman awam ka laho nahi choose rahay?? Ense se behter me ne ese gumnam ALLAH walo ko paya hai jo kisi qism ka dhandora pete ekath keye begher jo b unk pas ata hai usay badal k rakh dete hain.. But milta usay hi hay jo sacha talabgar ho.. jo hamari trah sirf chaskay lene aur ek dosray pe ilzamat lagana janta ho usay kya milna… ALLAH wesay hi hain her aik k lea jesa wo ALLAH k baray me guman rkhta hai.. ALLAH sb ko ghair zarori se bchaye aur sacha talab gar bnye.. Aameen..

  10. Anonymous says:

    The most outstanding quality of Tableeghi Jamaat is Ikhlas. Without this quality there is not positive development possible. That is why they have such Barkat in their efforts. I have spent time with them and I respect them. I am aware of Professor sahib's criticism, but you have to understand that it is basically a difference of orientation. We need not make too much of it. I happens…

  11. hussain says:

    waqai 2011 ka end ho chala hai aur prof sahib ke dhai saal puray nahi huey.

Leave a comment